Dil ki class ki ghanti jo baji
Aayi yaadein wo saari daud ke
Kisse phir mile, haan rakh loon main unhe
Kuch panne kitaabon ke mod ke
Phir se wo gali
Hai tu jo le chali
Toh theharu main thoda sa yahi
Hoon ruka haan haan zindagi
Tu badha haan haan zindagi
Hoon galat toh bata zindagi
De de sach ka pata zindagi
Ho pyaare the, bharam bhi
Hum thode besharam bhi
Na koi thi sararat aakhiri
Bachpane mein jo sataaye
The saamne par bhulaaye
Unn yaaron se jebe phir bhari
Hoke rubaru, ab aakhon mein bharu
Wo lamhe jo jiye the kabhi
Ab bhale tu sata zindagi
Maaf teri khata zindagi
Le main phir se chala zindagi
Kyun ruka tha bhala zindagi