Mukesh - Bolo Beiman Kee JaY 歌词

Bolo beiman kee jay beiman kee jay
naa ijjat kee chinta naa fikr kisi apaman kee
jay bolo beiman kee jay bolo
naa ijjat kee chinta
jay bolo, jay bolo beiman kee

beiman ke bina matre hote aksar char
b se badakari i se irshya m se bane makkar
na se namak harami samjho ho gaye pure char
char gunah mil jayen hota beiman taiyar
are usase aankh milaye kya himmat hai shaitan kee
jay bolo beiman kee.....

bhola mukhada ujale kapde mann hai kala kala
jiski daya se mandir chalate hai aabad shiwala
khush karta bhagvan ko dekho ghanta baja baja kar
nit mandir me puja karta deepak jala jala kar
andar bhagvan kee jay ho aur bahar beiman kee
jay bolo beiman kee.......

beimani se hee banate hain bangale bag bagiche
sar se upar pankhe chalate panv tale galiche
rit rivaj dharm aur majhab dab jate hain niche
beiman sabse aage aur duniya pichhe pichhe
mehnat se bane naa kutiya arre chhodo bat makan kee
jay bolo beiman kee

seth bhee asali, pet bhee asali nakali mal banaye
upar asali label andar nakali ghi aur chay
poplene kaa badal ke number tere lene banaye
ya beimani teraa aasra bol ke lutta jaye
arre apne desh kaa kapda aur lagee hai muhar japan kee
jay bolo beiman kee

vrindavan ke ham sanyasi kam hai chalate rahana
mauka hai takdir bana lo hath naa malate rahana
hath kee chudi panv kee payal ya ho gale kaa gahana
mar ke mantar dugana kar den mane agar tu kahana
do din pichhe kholo leela dekho bhagvan kee
jay bolo bhagvan kee jay bolo
jay bolo bhai jay bolo bhagvan kee jay bolo

puri seat par jatajut sang hain maharaj padhare
chimata charas chilam aur chele sath sath hain sare
tikte lekar bhee gadi me khade sharif bechare
aur yeh dekho bhagvan ke chamache pade hain panv pasare
bina tikat yatra karte dekho tirth sthan kee
jay bolo beiman kee
这个歌词已经 147 次被阅读了