Tune jo na kaha
Main woh sunta raha
Khamakha bewajah khwaab bunta raha
Tune jo na kaha
Main woh sunta raha
Khamakha bewajah khwaab bunta raha
Jaane kiski humein lag gayi hai nazar
Is shehar mein na apna thikana raha
Durr chahat se mein apni chalta raha
Khamakha bewajah khwaab bunta raha
Dard pehle se hai zyaada
Khud se phir yeh kiya wada
Khamosh nazrein rahe bezubaan
Aab na pehle si baatein hain
Bolo to lab thar tharatein hain
Raaz yeh dil ka
Na ho bayaan
Ho gaya ke aasar koi hum pe nayi
Humsafar mein toh hai
Humsafar hai nahi
Durr jaata raha
Paas aatha raha
Khamakha bewajah khwaab bunta raha
Aaya woh phir nazar aise
Baat chidne lagi phir se
Aankho mein chubtha kal ka dhuwaan
Haal tera na hum sa hain
Is khushi mein kyun gham sa hai
Basne laga kyun phir woh jahan
Woh jahan durr jisse gaye the nikal
Phir se yaadon ne kar di hai jaise pehel
Lamha beet ta huwa
Dil dhukata raha
Khamakha bewajah khwaab bunta raha
Tune jo na kaha
Main woh sunta raha
Khamakha bewajah khwaab bunta raha
Jaane kiski humein lag gayi hai nazar
Is shehar mein na apna thikana raha
Durr chahat se main apni chalta raha
Bhuj gayi aag thi
Daag jalta raha