Badan pe sitaare lapate huye
O jaane tamanna kidhar ja rahi ho
Zara paas aayo, to chain aa jaaye
Hameiin jab na honge to aye dilrubaan
Kise dekh kar haaye sharmaayo gi
Na dekhogi phir tum kabhi aaina
Hamare bina roz ghabraayo gi
Badan pe sitaare lapate huye...
Hai ban ne sawar ne ka jab hi maza
Koyi dekhne wala aashiq to ho
Nahi to yeh jalwe hain bhujte diye
Koyi mitne wala ek aashiq to ho
Badan pe sitaare lapate huye...
Mohabbat ki yeh intaha ho gayi
Ke masti mein tumko khuda keh gaya
Zamana yeh insaaf karta raha
Bura keh gaya yah bhala keh gaya
Badan pe sitaare lapate huye
O jaane tamanna kidhar jaa rahi ho
Zara paas aayo, to chain aa jaye...