Aankhon aankhon mein yeh kya ho gaya
Achcha hua jo yeh dil kho gaya
Aankhon aankhon mein yeh kya ho gaya
Achcha hua jo yeh dil kho gaya
Tere bina jaane kyun
Shaamein dhal nahin paati
Tere bina jaane kyun
Neendein hi nahin aati
Mera bhi tere bina jiya nahin lagta
Mujhko bhi aaj kal kuchh achcha nahin lagta
Raaton ko baithe baithe taare gine
Dil yeh humara tere sapne bune
Neendon ne aane se bhi na keh diya
Aankhein yeh soyi nahin jaagi rahein
Mera bhi haal tere jaisa hi hai ekdam
Mujhse bhi sambhale na samble yeh kadam
Chain bhi dheere dheere khone laga
Haaye mujhko kya kya hone laga
Kaise yeh jaadugari tumne kari
Har ik jagah tu mujhko dikhne laga
Mera bhi tere bina jiya nahin lagta
Mujhko bhi aaj kal kuchh achcha nahin lagta