dayaar-e-dil ki raat mein charaag sa jala gaya
mila nahin to kya hua wo shaql to dikha gaya
wo dosti to kair ab nasib-e-dushmanaan huyi
wo chhoti chhoti ranjishon ka lutf bhi chala gaya
judaayiyon ke zakm dard-e-zindagi ne bhar diye
tujhe bhi nind aa gayi mujhe bhi sabr aa gaya
pukaarati hain fursatein kahaan gayin wo sohabatein
zamin nigal gayi unhein ya aasamaan kha gaya
ye subaho ki safediyaan ye dopahar ki zardiyaan
ab aayine mein dekhata huun main kahaan chala gaya
ye kis kushi ki ret par gamon ko nind aa gayi
wo lahar kis taraf gayi ye main kahaan chala gaya
gaye dinon ki laash par pade rahoge kab talak
alamkasho utho ki aafataab sar pe aa gay