Kismat mein meri chain se jeena likhde
Doobe na kabhi mera safeena likh de
Jannat bhi ganwara hai, magar mere liye
Aye kaatib-e-taqdeer, madina likhde
Tajdar-e-haram, ho nigaah-e-karam
Hum ghareebon ke din bhi sanwarjayenge
Tajdar-e-haram, ho nigaah-e-karam
Haami-e-bekasaan kya kahega jahan
Aapke darr se khaali agar jayenge
Tajdar-e-haram Tajdar-e-haram
Koi apna nahi gham ke maaray hain hum
Aapke darr pe faryaad laaye hain hum
Ho Nigah-e-karam, warna chokhat pe hum
Aapka naam le le ke marjayenge
Tajdar-e-haram Tajdar-e-haram
Kya tumse kahoon aye Arab ke kunwar
Tum jaanat ho mann ki battiyaan
Darr furqat toh aye ummi-laqab
Kaate na katath hai ab rattiyaan
Turi preet mein sudbud sab bisri
Kab tak ye rahegi beqabri
Daah-e-ka pigan duzdi da nazar
Kabhi sun bhi toh lo humri battiyaan
Aapke darr se na koi khaali gaya
Apne daaman ko bhar ke sawaali gaya
Ho habeeb-e-hazin par bhi aaqa nazar
Warna auraq-e-hasti bikhar jayenge
Tajalliyon ki ajab hai fazaa madine mein
Nigah-e-shauk ki hai inteha madine mein
Gham-e-hayat na khauf-e-khazaa madine mein
Namaz-e-ishq karenge adaa madine mein
Barah-e-raas hai raahe-e-khuda madine mein
Aao madine chalen, chalo madine chalen
Aao madine chalen, Isi mahine chalen
Maikashon aao aao madine chalen
Dast-e-saaqiy-e-kausar se peene chalen
Yaad rakho agar, uthgayi ek nazar
Jitne khaali hai sabb jaam bharjayenge
Tajdar-e-haram Tajdar-e-haram
Khof-e-toofan hai, bijliyon ka hai darr
Sakht mushkil hai aaqa kidhar jayen hum
Ap hi na garr na lenge, hamari khabar
Hum musibat ke maaray kidhar jayenge
Tajdar-e-haram Tajdar-e-haram
Ya mustafa, ya mujtaba, eraham-lana, eraham-lana
Dast-e-hama, bechara ra
Daama tuhi, pursa tuhi
Mann aasiyam, Mann ajizam
Mann bekasam, Haal-e-mara
Pursa tuhi, pursa tuhi
Aye mushtub-e-zambar fishaan
Paike naseem-e-sub haram
Aye charagar insanafas
Aye musliheh beemar-e-gham
Aye qaasid-e-parkhundapaye
Tujhko usi gul ki kasam
Ibnil tayari has saba
Yauman ila-ar-dil-haram
Ballib salami roza tann
Fi-han nabi-al-mohtaram
Tajdar-e-haram, ho nigaah-e-karam
Hum ghareebon ke din bhi sanwarjayenge
Haami-e-bekasaan kya kahega jahan
Aapke darr se khaali agar jayenge
Tajdar-e-haram Tajdar-e-haram