Vishal Dadlani - Womaniya Şarkı Sözleri

Jai Hanuman gyan gunn sagar
Jai kapis tihun lok ujaagar
Jai Hanuman gyan gunn sagar
Jai kapis tihun lok ujaagar
Dekhegi yeh duniya yeh womaniya

Jab bhi yeh nikal jaaye
Suraj bhi pighal jaaye
Aasmaan ko neeche de jhuka

Apne pe aaye agar
Pathar titar bitar
Kisi ka bhi tode ye gumaan
Dhun ki dhuandhaar ho
Zid agar sawaar ho
Tere jaise takaat dekho
Yahan kisi aur mein kahan

Likh de nayi kahani
Ab tu teri zubaani
Bhool ke baatein purani
Ke kaise kisi ne kab tha kya kaha

Likh de nayi kahani
Ab tu teri zubaani
Bhool ke baatein purani
Ke kaise kisi ne kab tha kya kaha

Rokega gaaon jawani
Par teri zid karari
Tooti chaar diwari
To chal padi hai ik nayi hawa

Sadabahaar hai tu
Sabse chamakdaar hai
Teri roshni mein lag raha hai
Ab jawan jawan jahan

Jai Hanuman gyan gunn sagar
Jai kapis tihun lok ujaagar
Jai Hanuman gyan gunn sagar
Jai kapis tihun lok ujaagar
Dekhegi yeh duniya yeh womaniya
Bu şarkı sözü 110 kere okundu.