Sunidhi Chauhan - Piku Тексты

Subah ki dhoop pe isi ki dastkhat hai
Isi ki roshni udi jo har taraf hai
Ye lamho ki kuve mein roz jhaankti hai
Ye jaake waqt se hisaab maangti hai
Ye paani hai ye aag hai
Ye khudi likhi kitaab hai
Pyaar ki khuraak si hai Piku!
Subah ki dhoop pe isi ki dastkhat hai

Panna saanson ka palte
Aur likhe unpe mann ki baat re
Lena isko kya kis se
Isko toh bhaaye khudka saath re
Uh oh. barish ki boond jaise
Sardi ki dhundh jaise
Kaisi paheli iska hal na mile

Kabhi ye aasmaan utaarti hai neeche
Kabhi ye bhaage aise baadalon ke peeche
Isey har dard ghoont jaane ka nasha hai
Karo jo aaye jee mein iska falsafa hai

Ye paani hai ye aag hai
Ye khudi likhi kitaab hai
Ye pyaar ki khuraak si hai Piku!

Mode raahon ke chehre
Isko jaana hota jis ore hai
Aise sargam sunaaye
Khud iske sur hain iske raag re
Uh oh. roothe toh mirchi jaisi
Hansde toh cheeni jaisi
Kaisi paheli iska hal na mile

Subah ki dhoop pe isi ki dastkhat hai
Isi ki roshni udi jo har taraf hai
Ye lamho ki kuve mein roz jhaankti hai
Ye jaake waqt se hisaab maangti hai

Ye paani hai ye aag hai
Ye khudi likhi kitaab hai
Pyaar ki khuraak si hai Piku!
Subah ki dhoop pe isi ki dastkhat hai
Этот текст прочитали 522 раз.