(tu jahaan main wahaan
sang sang yu chalu tere
jaise tera aasmaan ) - 2
jo dhup nikli chaya ban jaaunga
jo ho tu akeli saaya ban jaaunga
jo uljhan mein ho mann main behlaaunga
tum aa gaye ho toh jeena aaya hain
khushiya ka tumne yeh jaal bichaya hain
khoya hain khudko yah sab kutch paaya hain
tu jahaan main wahaan
sang sang yu chalu tere
jaise tera aasmaan
ho gam ke badal mujhpe tham jaane de
bechainiyo ko mujhse takrane de
dukhti ho koi baat mujhpe aane de
dil sochta tha ke koi apna ho
koi raaz na ho jo uss se rakhna ho
aankhein na kholu main shayad sapna ho
tu jahaan main wahaan
sang sang yu chalu tere
jaise tera aasmaan