sa: ( na hai zamin, na aasmaan
laaye kahaan ho hamko
a: baadal nagar hai mera ghar
laaya jahaan hu tumko ) -2
sa: chhodo hansi, baadal mein bhi, koi bhala rahta hai
a: a dekh le in aankhon se, deevaana sach kahta hai
sa: na hai zamin, na aasmaan
laaye kahaan ho hamko
a: baadal nagar hai mera ghar
laaya jahaan hu tumko
sa: teri is nagri mein, kaise raste hain en
a: pair sitaaron par rakhkar chalte hain en
sa: teri is nagri mein, kaise raste hain en
a: pair sitaaron par rakhkar chalte hain
sa: ik taara vo chalta hai jo, de do mujhe vo nagina
a: ab chaand hai bindiya teri, soorat tera aaina
sa: na hai zamin, na aasmaan
laaye kahaan ho hamko
a: baadal nagar hai mera ghar
laaya jahaan hu tumko
sa: pyaar ke ye do pal, hamko gheren hain en
a: dhundhle ujaale hain en en, ujle andhere hain en
sa: pyaar ke ye do pal, hamko gheren hain en
a: dhundhle ujaale hain, ujle andhere hain
sa: ye pyaar ke baadal ghane kal ko pighal jaayen to
a: sun ai hasin ham vo nahin, ik din badal jaayen jo
sa: na hai zamin, na aasmaan
laaye kahaan ho hamko
a: baadal nagar hai mera ghar
laaya jahaan hu tumko
sa: chhodo hansi, baadal mein bhi, koi bhala rahta hai
a: a dekh le in aankhon se, deevaana sach kahta hai
sa: ( hun hun hun hun
a: hun hun ) -2
sa: la la la la la, la-la-la
a: ( hun hun hun hun
sa: hun hun ) -2
both: la la la la la, la-la-la