Aji o taash ke baawan patte panje chhakke satte
Sab ke sab harjaai main to lut gaya
Main to lut gaya raam duhaai
Taash ke baavan
Daan yateemon ko deta to daani main kahalaata
Khush ho jaati biwi jo uske gahane banawata
Maine kaagaz ki begam se kaahe aankh ladaai
Main to lut gaya
Apne dil ka chain bhi haara aur daulat bhi haari
Maalik ne insaan banaya main ban gaya juaari
Gali-gali mein ho gayi yaaron aaj meri rusawaai
Main to lut gaya