Do rang duniya ke aur do raste
do rup jivan ke jine ke waste
do rang duniya ke aur do raste
soch samajh ke pav rakhe, samjha do har divane ko
ik rasta mandir ko jaye, ik jaye maikhane koy
rasta bhul naa jaye, rahee dhokha naa khaye
do rang duniya ke aur do raste
do rup jivan ke jine ke waste
do rang duniya ke aur do raste
ek hain aise log jo, auro kee khatir jite hain
dusare woh jo apnee khatir,apno kaa khun bhee pite hain
koyee phul khilaye, koyee kante bikhraye
do rang duniya ke aur do raste
do rup jivan ke jine ke waste
do rang duniya ke aur do raste, aur do raste
Этот текст прочитали 108 раз.