Mohammed Rafi - Aa Zara Mere Humnasheen Тексты

Aa zara mere humnasheen thaam le mujhe thaam le
Aa zara mere humnasheen thaam le mujhe thaam le
Zindagi se bhaag kar aaya hoon main mujhe thaam le
Aa zara mere humnasheen...

Apni hasti se khud main pareshaan hoon
Jiski manzil nahin aisa insaan hoon
Apni hasti se khud main pareshaan hoon
Jiski manzil nahin aisa insaan hoon
Main kahaan tha kahaan se kahaan aa gaya
Kya se kya ho gaya main bhi hairaan hoon
Aa zara mere humnasheen...

Bujh gaya bhi to kya apne dil ka diya
Ab na royenge hum roshni ke liye
Bujh gaya bhi to kya apne dil ka diya
Ab na royenge hum roshni ke liye
Dil ka sheesha jo toota to ghum kyon kare
Dard kaafi hai bas zindagi ke liye
Aa zara mere humnasheen...

Raat aati rahi raat jaati rahi
Mere ghum ka na lekin savera hua
Raat aati rahi raat jaati rahi
Mere ghum ka na lekin savera hua
Apne, apne naseebon ki baatein hain ye
Jo mila humko uska bahot shukariya
Aa zara mere humnasheen...
Этот текст прочитали 197 раз.