Babul Ka Yeh Ghar Behna
kuch Din Ka Thikana Hai
banake Dulhan Ek Din
tujhe Piya Ghar Jaana Hai
baapu Tere Angan Ki
main Tho Ek Kali Hoon
is Angan Ko Chod Kyun
kiss Aur Ka Ghar Sajana Hai
beti Ghar Babul Ke
kissi Aur Ki Amanat Hai
dastoor Duniya Ka
hum Sab Ko Nibhana Hai
maiya Tere Anchal Ki
main To Ek Gudiya Re
tune Mujhe Janam Diya
tera Ghar Kyun Begana Hai
maiya Pe Kya Beet Rahi
behna Tu Ye Kya Jaane
kaleje Ke Tukde Ko
roh Roh Ke Bhulana Hai
bhaiya Tere Baag Ki
main Kaise Chidiya Re
raat Bhar Besara Hai
subha Udd Jaana Hai
behna Tere Bachpan Ki
yaadei Ham Sab Ko Satayengi
phir Bhi Teri Doli Ko
kaandha To Lagana Hai
babul Ka Yeh Ghar Behna
kuch Din Ka Thikana Hai
banke Dulhan Ek Din
tujhe Piya Ghar Jaana Hai...
Этот текст прочитали 191 раз.