Chhetri Jee - FREESTYLE FRIDAYS : Rap Sessions with Chhetri Jee Тексты

INTRO

]
Hoon Dil choor ke nashe mein pee na Liquor jara see
To mere jaisa dikha ke mujhe tu likh-kar jara ki
Vice city ka main hero hun Tommy Vercetti
Supply ki na tension na hee dikkat jara bhi

Kon zindagi se raha jiska jikkar kara ni ?
Bade bhai se lekar ke wo meri diwani
Sabne dekhe mere rang banta sab-kuch maine likh-kar
Shant bhi raha hun main aur tik-kar lada bhi

Teekha seedha bolta hun : han hai mujh-mein kharabi
Yaar top-class se lekar mere dost hain sharabi
Floss mujhe chahiye kuch bhi khane ke baad
Shauk aur aadatein hain meri saari nawaabi

Par Jo dil ko rakhe tang kabhi wo kaam kara ni
Kaam-yaabi par dusron ki kabhi main hun sada ni
Meri soch ki hai kimat jo bhi main hun han likhta
Sone aur chandi mein na ji main hun jada ni

Kuch-bhi chahe maine dekha kabhi main hun dara ni
Paise-ya chhichoriyon par kabhi main hun mara ni
Jab tak main khatam na karun tab-tak ye han chalegi
Zero-by-zero jaisi hai ye meri kahani

]
Hawai mehlo sa hai farzi : sara tera fake-work
Kisi cheez ki na tension : sara mera set-work
Auto mode par hai business : mujhe-na-parwah-jara bhi
Doon : Chandigarh to Cali faila mera network

Aur ye usko salaam jo mera bada bhai fauz mein hai
Jiski wajah se ye chhota bhai mauz mein hain
Mujhe dekh-kar saare mujhse jalne wale shock mein hain
Ke kaise ye launda nawaabo wale shauk mein hai

Paisa atm se khacha khach main cash karta hun
Fir hood mera mere shoes se han match karta yun
Aur High-way par gaadi : meri : jaati aise shoon
Maut aani hai to ayegi : Fikar karun main kyun ?

Aur sachche pyaar ke liye kuch bhi kar jaunga
Tum mat sochna kabhi ke main dar jaunga
Kalam kagaz Sangeet ab meri zindagi
Aur main likhna chhodunga ke jab main mar jaunga!
Этот текст прочитали 436 раз.