Tere dar pe aake tham gaye
Naina namaazi bann gaye
Ek dooje mein yun dhal ke
Aashiqana aayat ban gaye Main aur tum
Kaisi dil lagaai kar gaye
Rooh ki rubaai bann gaye
Khaali khaali dono the jo
Thoda sa dono bhar gaye Main aur tum
Chalo ji aaj saaf saaf kehta hoon
Itni si baat hai mujhe tumse pyar hai
Yunhi nahi main tum pe Jaaan deta hoon
Itni si baat hai mujhe tumse pyar hai
Chalo ji aaj saaf saaf kehta hoon
Itni si baat hai mujhe tumse pyar hai
Mujhe tumse pyaar hai.
Lage na yeh dhoop zaroori
Lage na yeh chaanv zaroori
Milte hain ishq zameen par
Ab do hi naam zaroori Main aur tum
Apna khuda bhi hoga
Apna hi rab le lenge
Khud ki bana ke duniya
Ye zindagi jee lenge main aur tum
Chalo ji aaj saaf saaf kehta hoon
Itni si baat hai mujhe tumse pyar hai
Yunhi nahi main tumpe jaan deta hoon
Itni si baat hai mujhe tumse pyar hai
Mujhe tumse pyaar hai
Ek tum, ek main, teeja maangu kya khuda se
Dil doon, jaan doon, kya doon itna bata de
Tera mera rishta hai saanson se bhi naazuk
Tum sa, hum sa, duja na hoga na hua hai
Do dil sa ik seene mein hai jaise main aur tum
Ab dono hum ik jeene mein hain jaise main aur tum
Jaan se zyada chaha tumko piya re
Harpal, hardum, humdum tumko jiya re
Aaj saaf saaf kehta hoon
Itni si baat hai mujhe tumse pyar hai
Yunhi nahi main tumpe jaan deta hoon
Itni si baat hai mujhe tumse pyar hai
Chalo ji aaj saaf saaf kehta hoon
Itni si baat hai mujhe tumse pyar hai
Mujhe tumse pyaar hai.