Pritam - Tinka Tinka Dil Mera (From "Tubelight") Şarkı Sözleri

Tinka tinka dil mera
Teri lau mein jalta hai
Jaaye tu chaahe kahin
Mere dil mein dhalta hai

Katra katra dil mera
Tere raah mein behta hai
Jaaye tu chaahe kahin
Mere dil mein rehta hai
O... wo o...
Teri ikk-ikk karke yaadein raati hain
Meri ikk-ikk karke saansein jaati hain
Yeh meri aah jo kabhi kahin nikal jaaye
Maange bas ikk jhalak teri kahin tu mil jaaye
Tukda tukda dil mera
Tera rastaa takta hai
Jaaye tu chaahe kahin
Mere dil mein thamta hai
Zarra zarra gham mera
Tere dil mein hansta hai
Jaaye tu chaahe kahin
Mere dil mein basta hai
Oo... wo...
Bu şarkı sözü 163 kere okundu.