Kishore Kumar - Jiska Mujhe Tha Intezaar Şarkı Sözleri

Jis ka mujhe tha intezaar
Jis ke liye dil tha beqaraar
Voh ghadi aa gayi, aa gayi
Aaj pyaar mein had se guzar jaana hai
Maar dena hai tujhko ya mar jaana hai
Mujhpe jo guzri tu kya jaane
Tu kya samjhe, o deewane
Lete rahoongi badna tujhse
Aayi hoon dil ki aag bujhaane
O, kaatil meri nazron se bachke kahan jaayega
Kaatil meri nazron se bachke kahan jaayega
Diya hai jo mujhko, vahi tu mujhse paayega
Voh ghadi aa gayi, aa gayi
Teer banke jigar mein utar jaana hai
Maar dena hai tujhko ya mar jaana hai

Jaadu tera kis pe chala
Hoga kisi din yeh faisla
Voh ghadi aayegi, aayegi
Jaana, tune abhi yeh kahan jaana hai
Kise jeena hai aur kisko mar jaana hai
Hoga tera aashiq zamaana
Auron ka dil hoga tera nishaana
Naaz na kar yun teere nazar pe
Aaye hamein bhi teer chalaana
Jo hai khilaadi unhe khel hum dikhaayenge
Apne hi jaal mein shikaari phas jaayenge
Voh ghadi aayegi, aayegi
Waqt aane pe tujhko yeh samjhaana hai
Kise jeena hai aur kisko mar jaana hai
Bu şarkı sözü 216 kere okundu.