Dekhunga main, dekhun-dekhun duniya anjani
keh nahin sakta kya hogi jani ya pehchani
Maut k shehron main to aesa he hota hai
Aks dekhtay he apni zindagi khota hai
Rota hai dhota hai apni maut ko leke sota hai
Aur sone k baad apni akhain ye kholta hai
Ab samaj nahin ata aese waqt pe main kya karun
Maut se laroon ya apna maazi main yaad karun
Haath hain mere jese hon hathiyaar
Bach gaya hun wahan jahan na bacha hai koi aur
Irrada karlia hai ab hun main taiyaar
Reh gaya hun wahan jahan na bacha hai koi aur
Kesi hai ye maut aur kis k hain ye chehray
Zindagi ujar k phela diye andhere
bikhere hain shetaniat jism ki jaan main
Aur khalal dale hain khuda ki shaan main
Waqt, waqt, waqt-waqt he batayega
k kon apni zindagi khud he bachayega
Waqt, waqt, waqt-waqt he batayega
k kon ujala leke, andhere ko sulayega
Behjatay hain aksh jab dekhun main wo manzar
Khanjar ghoptay hain dekhakay pyar aksar
Toot para, lut chuka hai mera maazi aaj
Awaaz deta hun rakhlo meri saanson ki laaj
Kash aesa din ajaye jab dukh na ho kahin pe
Insaano k sath farishtay bhi hon zameen pe
Mere hain alfaz jispe behjaye kalam ki seyahi
Hai koi jo karwade sachae ki rehaae?
Muaf kardo mujhay sach chor aaya hun uljhay
Dekh nahin sakta tha jo faraib thay sauljhay
Aadat hogai hai sun k mujhay logon ki wo batain
Jin ko sun k katjati thi meri saari raatain
Bas yaadain reh jayengi jo hongi saari halki
Tab kahani sunaonga keh k ye baat hai kal ki
Kuch nahin pata najane kal hoga kya
Muaaf kardo mujhay agar hogai hai khataa
Waqt, waqt, waqt-waqt he batayega
k kon apni zindagi khud he bachayega
Waqt, waqt, waqt-waqt he batayega
k kon ujala leke, andhere ko sulayega