Udit Narayan - Ghar Se Nikhalte Lyrics

Ghar se nikalte hi kuch door chalte hi
Raste main hai uska ghar
Kal subah dekha to baal banati vo
Khidki main aayi nazar
Ghar se nikalte hi kuch door chalte hi
Raste main hai uska ghar
Kal subah dekha to baal banati vo
Khidki main aayi nazar
Ghar se nikalte hi

Masoom chegra neechi nigahain
Bholi se ladki bholi aadayan
Na apsara hai na vo pari hai
Lekin yeh uski jadoogari hai
Deewana kar de vo ik rang bhar de vo
Sharma ke dekhe jidhar
Ghar se nikalte hi kuch door chalte hi
Raste main hai uska ghar

Karta hoon uske ghar ke main phere
Hansne lage hain ab dost mere
Sach kah raha hoon uski ki kasam hai
Main phir bhi khush hoon bus ek gam hai
Jisse pyaar karta hoon main jispe marta hoon
Usko nahi hai khabar
Ghar se nikalte hi kuch door chalte hi
Raste main hai uska ghar

Ladki hai jaise koi paheli
Kal jo mili mujhko uski saheli
Maine kaha usko jake yeh kahna
Achha nahi hai yoon door rahna
Kal shaam nikle vo ghar se tahelne ko
Milna jo chahe agar
Ghar se nikalte hi kuch door chalte hi
Raste main hai uska ghar
Kal subah dekha to baal banati vo
Khidki main aayi nazar.
This lyrics has been read 273 times.