Baba lauta de mohey gudiya mori
Angana ka jhoolna bhi
Imli ki daar waali muniya mori
Chandi ka painjna bhi
Ik haath mein chingariyan
Ik haath mein saaz hai
Hansne ki hai aadat humein
Har gham pe bhi naaz hai
Aaj apne tamaashe pe mehfil ko
Karke rahenge fida
Jab talak na karein jism se jaan
Hogi nahi ye juda
Manzoor-e-Khuda
Manzoor-e-Khuda
Anjaam hoga humara jo hai
Manzoor-e-Khuda
Manzoor-e-Khuda (Manzoor-e-Khuda)
Manzoor-e-Khuda (Manzoor-e-Khuda)
Toote sitaaron se roshan huaa hai
Noor-e-Khuda
Ho chaar din ki ghulami
Jism ki hai salaami
Rooh toh muddaton se aazaad hai
Ho. hum nahin hain yahan ke
Rehne wale jahaan ke
Woh sheher aaasman mein aabaad hai
Ho khilte hi ujadna hai
Milte hi bichhadna hai
Apni toh kahaani hai yeh
Kaagaz ke shikaare mein
Dariya se guzarna hai
Aisi zindagaani hai yeh
Zindagani ka humpe jo hai karz
Kar ke rahenge adaa
Jab talak na karein jism se jaan
Hogi nahi ye juda
Manzoor-e-Khuda
Manzoor-e-Khuda
Anjaam hoga humara jo hai
Manzoor-e-Khuda
Manzoor-e-Khuda (Manzoor-e-Khuda)
Manzoor-e-Khuda (Manzoor-e-Khuda)
Toote sitaaron se roshan huaa hai
Noor-e-Khuda
Baba lauta de mohey gudiya mori
Angana ka jhoolna bhi
Imli ki daar waali muniya mori
Chandi ka painjna bhi