Sadhana Sargam - Kahaan Gaye Mamata Bhare Din Lyrics

kahaan gaye mamata bhare din
kaise koyi jiye maan tere bin
o maan tujhe dhuundhuun main kahaan
o maan ke bina suuna hai jahaan
kaun bhala duniya mein maan ki jagah le saka
koyi kah de kya hoti hai maan
aakhir maan hoti hai maan
kahaan gaye mamata

haathon se khilaay ke baahon mein jhulaaye ke
bahanon ki raah mein tuune nazarein bichha din
loriyaan sunaay ke hamako sulaay ke
apana na socha hamape nindein bhi luta din
maan ki parachhaayin haan hai mera bhaayi
kaun bhala duniya

baabul ka pyaar tu maan ka dulaar tu
tere hote maan baabul ki yaad bhi na aayi
tu hamaara vir hai ye bhi takadir hai
bahanon ki raakhi chuume bhaiya ki kalaayi
dhuup kya pata nahin gam kya pata nahin
tere saaye mein mamata ki chhaanv hi mili hai
aansu kya pata nahin dard kya pata nahin
tere angana mein ye kaliyaan phuul si khili hain
maan ki parachhaayin haan hai mera bhaayi
kaun bhala duniya

tere jaisi haan hoti hai maan
mamata bhare har pal har din
kaise milenge bhaiya hamein tere bin
chaahein koyi dhuundh le jahaan
o aisa bhaayi milega kahaan
hai ye duwa har bhaayi
bhaayi ho teri tarah
maan jaisi shital puravayiya
haan aakhir hai apana bhaiya
This lyrics has been read 229 times.