Main yahan, main wahan
Chaahe jaaun jahan
Poochhta hai yeh dil
Tu kahan, tu kahan
Main saara chhod ke nikla hoon
Ek tere hi vaste
Dooriyan hain beech raste raste
Kitni bhi doori ho
Koyi majboori ho
Maine yeh thaana hai
Tujhko hi paana hai
Aa raha hoon banke deewana
Maan hi lega ek din zamana
Tu meri main tera x (8)
Meri tanhaiyan kar rahi hain bayan
Un dino ki haseen dastaan
Jabke hum sath thhe
Hath mein hath thhe
Lamha lamha haseen tha samaa
Yaadein barse na kyun
Aakhein tarse na kyun
Dhoondhti hain tera thikana
Tu mile to bas hai batana
Tu meri main tera x (8)
Yeh safar hai khathin
Mushkilein raat din
Saaye ki tarah hai sath mere
Zakhmi sahi dil ko hai zid yahi
Jaana hi hai paas tere
Raah ka suna pann
Aur tan ki thakan
Kitne peeron ka main hoon nishana
Phir bhi jaana to maine jaana