Nusrat Fateh Ali Khan - Ya Hayyo Ya Qayyum Lyrics

Sana Bashar K Liyeah Hai Bashar Sana K Liye
ahTamaam Hamd Saza Waar Hai Khuda K Liye
ahAtaa K Samnay Yaarab Khata Ka Zikr Hee Kya
K Tu Ataa K Liyeah Bashar Khata K Liye
ahQounain Ka Masjood Hai Maa'bood Hai Tu
Her Shay Teri Shahid Hai K Mash'hood Hai Tu
Her Aik K Lab Per Hai Teri Hamd O Sana
Her Sooz Mein Her Saaz Mein Moujood Hai Tu
Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya QayyumYa Maalik O Ya Razzaq Tu Khaali E Her Khallaq
Her Raaz Tujhe Malom
Her Raaz Tujhay Maloom
Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum
Teri Zaat Hai Azzo Jal, Tu Her Mushkil Ka Hal
Her Simt Hai Teri DhomHer Samt Hai Teri DhoomYa Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum
Rehmat Ki Nigaahon Ka Ishara Maango
Dunya Say Koi Shay Na Khudara Maango
Dunya Ki Wafa Jhoot, Saharay Hein Faraib
Allah Say Allah Ka Sahara Maango
Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum
Mansab Ki Karo Chah, Na Sirwat Maango
Tum Ehl-E-Mohabbat Ho Mohabbat Maango
Her Haal Mein Thaamay Hoay Daamaan-E-Raza
Allah Say Allah Ki Rehmat Maango
Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum
Ker Dil Ko Ataa Sooz-E-Tawami Yaarab
Her Saans Ho Rehmat Ki Payami Yaarab
Orang-E-Shahee Ki Nahi Haajat Mujh Ko
Kaafi Hai Mohammad Ki Ghulami. Ya-Rub!
Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum
Tu Lafz Hai Wo Farhang, Tu Haakim Wo Aurang
Tu Lazim Wo MalzomTu Laazim Wo Malzoom
Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum
Aadat Hai Meri Hadh Say Guzarna Yaarab
Aata He Nahi Mujh Ko The-Herna Yaarab
Herfa-E-Gada Maan-E-Karam Per Tere
Sharminda Sar-E-Hashr Mein Kar Na Ya-Rub!
Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum
Mein Jism Aur Tu Dam, Tera Zikr Ilaj-E-Gham
Kyun Dil Ho Mera Maghmor
Kiyoon Dil Ho Mera Maghmoor
Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum
Mein Kia Hoon Mein Kiss Shay Ki Talafi Chahoon
Kia Baat Mein Fitrat K Manafi Chaahon
Kuch Paas Nahi Ashq-E-Nizamat K Siwa
Kiss Mo Say Gunahoon Ki Maafi Chaahon
Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum
This lyrics has been read 189 times.