Jabse mila hoon tujhse
Muskuraata rehta hoon
Jo bhi milta hai mujhse
Sunata phirta hoon
Door rehna iss mayajaal se
Warna tera jeena dusvaar ho jaayega
Hans mat pagli pyar ho jaayega
Main toh yeh sochta tha
Sochta tha bewajah
Khwabon ki khidki thi bandh
Ab ishq hoga bhi kya
Tujhse yun thoda khul gaya hoon main
Yun teri aankhon mein ghul gaya hoon main
O... jaise paani mein chandan hua
Dil ab kuch bhi karne ko taiyar ho jaayega
Hans mat pagli pyar ho jaayega
Jaise nadiya main aaj kal
Balkhati chalti hoon
Teri nazar se darpan
Dekh kar nikalti hoon
Saji rahoon tere khayaal se
Toh har din jaise tyohaar ho jaayega
Hans mat pagle pyar ho jaayega
Tune khola mera aasmaan
Ikk chaand roshan huaa
Khali sa tha mann mera
Taaron ka aangan huaa
Baaton mein teri kho gayi hoon
Badla mausam ya main nayi hoon
Kaise door rahoon tere khayaal se
Ab har pal tera intezaar ho jaayega
Hans mat pagle pyar ho jaayega
Hans mat pagli pyar ho jaayega
Dieser text wurde 407 mal gelesen.