Shankar Mahadevan - Taare Zameen Par Songtexte

dekho inhein yeh hain os ki boondein
patton ki god mein aasmaan se koodein
angdaayi lein phir karwat badal kar
nazuk se moti hans de phisal kar
kho na jaayen ye taare zameen par
yeh to hain sardi mein dhoop ki kirne
utarein jo aangan ko sunhera sa karne
mann ke aandheron ko roshan sa kar dein
thiturti hatheli ki rangat badal dein
kho na jaayen ye taare zameen par.
jaise aankhon ki dibiya mein nindiya
aur nindiya mein meetha sa sapna
aur sapne mein mil jaaye farishta sa koi
jaise rangon bhari pichkari
jaise titliyan phoolon ki kyari
jaise bina matlab ka pyara rishta ho koi
yeh to aasha ki lehar hain
yeh to ummeed ki sehar hain
khushiyon ki nehar hain
kho na jaayen ye
taare zameen par
dekho raaton ke seene pe yeh toh
jhilmil kisi lau se uge hain
yeh to ambiya ki khushboo hain
baagon se beh chale
jaise kaanch ke choodi ke tukde
jaise khile khile phoolon ke mukhde
jaise bansi koi bajaye pedon ke thale
yeh to jhonke
hain pawan ke
hain yeh ghungharoo jeewan ke
yeh to sur hain chaman ke
kho na jaayen ye
taare zameen par
mohalle ki raunak galiyan hain jaise
khilne ki zid par kaliyan hain jaise
mutthi mein mausam ki jaise hawayein
yeh hain buzurgon ke dil ki duayen
kabhi baatein jaise dadi nani
kabhi chalkein jaise mum mum paani
kabhi ban jaaye bhole sawaalon ki jhad
sannate mein hansee ke jaise
soone hothon pe khushi ke jaise
yeh to noor hain barse gar teri kismat ho badi
jaise jheel mein lehraye chanda
jaise bheed mein apne ka kandha
jaise manmauji nadiya jhaag udaye kuch kahe
jaise baithe meethi si jhapki
jaise pyar ki dheemi si thapki
jaise kaanon mein sargam hardam bajti hi rahe
kho na jaaye ye taare zameen par
Dieser text wurde 114 mal gelesen.