Shankar Mahadevan - Breathless Songtexte

Koi Jo Mila To Mujhe Aisa Lagta tha Jaise
Meri Saari Duniya Mein
Geeton Ki Rut Aur

Rangon Ki Barkha Hai
Khushboo Ki Aandhi Hai
Mehki Hui Si Ab Saari Fizaayein Hai
Behki Hui Si Ab Saari Havaayein
Khoyi Hui Si Ab Saari Dishaayein Hai
Badli Hui Si Ab Saari Adaayein Hai
Jaagi Umange Hai Dhadak Raha Hai Dil
Saanson Me Toofa Hai Hothon Pe Nagme Hai
Aankhon Me Sapne Hai
Sapno Me Beete Huye Saare Woh Lamhe Hai
Jab Koi Aaya Tha
Nazro Pe Chaaya Tha
Dil Me Samaya Tha
Kaise Mai Bataun Tumhe
Kaise Use Paaya Tha
Pyaare Se Chehre Pe
Bikhri Jo Zulfein To Aisa Lagta Tha Jaise
Kohre Ke Peeche Ek Os Me Dhula Hua
Phool Khila Hai Jaise
Baadal Me Ek Chaand Chupa Hai
Aur Jhaank Raha Hai Jaise
Raat Ke Parde Me

Ek Savera Hai Roshan Roshan
Aankhon Me Sapno Ka Saagar Jisme
Prem Sitaaron Ki Chaadar Jaise Jhalak Rahi Hai
Lahro Lahro Baat Kare To Jaise Moti Barse
Jaise Kahi Chaand Ki Paayal Goonje
Jaise Kahi Sheesh Ke Jaam Gire Aur Chann Se Tootey
Jaise Koi Chip Ke Sitaar Bajaye
Jaise Koi Chaandani Raat Me Gaaye
Jaise Koi Haule Se Paas Bulaye
Kaisi Meethi Baate Thi Wo
Kaisi Mulakate Thi Woh
Jab Maine Jaana Tha

Nazro Se Kaise Pighalte Hai Dil Aur
Aarzoo Paati Hai Kaise Manzil
Aur Kaise Utarta Hai Chaand Zameen Par
Kaise Kabhi Lagta Hai Swarg Agar Hai To
Bas Hai Yahi Par
Usne Banaya Mujhe
Aur Samjhaya Mujhe
Hum Jo Mile Hai Humein
Aise Hi Milna Tha
Gul Jo Khile Hai Unhe
Aise Hi Khilna Tha
Janmo Ke Bandhan
Janmo Ke Rishtey Hai
Jab Bhi Hum Jamne To
Hum Yuhi Milte Hai
Kaano Me Mere Jaise Shahad Sa Ghulne Lage
Khwaabo Ke Dar Jaise Aankhon Me Khilne Lage Khwaabo Ki Duniya Bhi Kitni Hasi Aur
Kaisi Rangee Thi
Khwaabo Ki Duniya Jo Kehne Ko Thi Par Kahi Bhi Ni Thi

Khwaab Jo Toote Mere
Aankh Jo Khuli Meri
Hosh Jo Aaya Mujhe
Maine Dekha Maine Jaana
Wo Jo Kabhi Aaya Tha
Nazro Pe Chaaya Tha
Dil Me Samaya Tha
Jaa Bhi Chuka Hai Aur
Dil Mera Hai Ab Tanha Tanha
Na To Koi Armaa Hai Na Koi Tamanna Hai
Aur Na Koi Sapna Hai
Ab Jo Mere Din Aur Ab Jo Meri Raate Hai
Unme Sirf Aansoo Hai
Unme Sirf Dard Ki Ranjh Ki Baate Hai Aur Faryaade Hai
Mera Ab Koi Nahi
Mai Hu Aur Khoye Huye
Pyaar Ki yaadein Hai-3
Dieser text wurde 214 mal gelesen.