Tumse hi hai pyar kyun
Koyi yeh samjhaye
Har ghadi tera intezar kyun
Ishq agar khuda ne likha hai to batlao
Ismein itna hai khaar kyun
Hum sath jiyenge
Sang khaayi jo kasmein
Badal hi denge hum
Duniya ki rasmein
Ghuzra bhi unn raahon se
Vaadon se jo thi judi
Hmm ghuzra bhi unn raahon se
Vaadon se jo thi judi
Khoye hain hum unn khwaabon mein
Jo hain adhoore pade
Yaadon mein tu sath hai
Phir bhi kyun tanhaiyan
Gar tod de tu rasmein
Mit jaayengi dooriyan ho
Kaandhe pe mere jab tera sar tha
Haseen thi duniya rangeen shehar tha
Khaali lage hain raat din
Veeran hain shaam-o-sehar
Hmm khaali lage hain raat din
Veeran hain shaam-o-sehar
Meri dua tera sabar
To kuchh to ho beasar
Kyun tujhse bichhad ke
Mohabbat badh gayi hai
Yeh humara milna ittefaq nahi hai
Marzi hai khuda ki mazaak nahi hai
Dieser text wurde 186 mal gelesen.