Nusrat Fateh Ali Khan - Tumhain Dillagi Bhool Jani Songtexte

Tumhein Dillagi Bhool Jani Paray gi
Mohabbat Ki Raahon Mein Aa kar To Daikho

tarapnay p mairay na phir tum haso gay
kabhi dil kisi say laga ker to daikho

hoonton k paas aaye hasi kia majaal hai
dil ka moamla hai koi dillagi nahi

zakhm pay zakhm pay kha k ji apnay laho k ghoont pe
aah na ker laboon ko see ishq hai dillagi nahi

dil laga ker pata chalay ga tumhein
aashqi dillagi nahi hoti

kuch khail nahi hai ishq ki laag
pani na samajh yeah aag hai aag

khoon rula'ay gi yeah lagi dil ki
khail samjho na dillagi dil ki

yeah ishq nahi aasan bus itna samajh li jay
ik aag ka darya hai aur doob k jana hai

Tumhein Dillagi Bhool Jani Paray gi
Mohabbat Ki Raahon Mein Aa kar To Daikho

tarapnay p mairay na phir tum haso gay
kabhi dil kisi say laga ker to daikho

wafaoon ki hum say tawwaqu nahi hai
magar aik baar aazma ker to daikho

zamanay ko apna bana ker to daikha
hamein bhi tum apna bana ker to daikho

//khuda k liyeah chor do ub yeah pardah
//rukh say naqaab utha k bari dair ho gaye maahol ko tilawat e quran

kiyeah hoay

kabhi pardah kabhi jalwa yeah tamasha kia hai
hum na samjahy teri nazroon ka taqaza kia hai

//khuda k liyeah chor do ub yeah pardah
//jane e jaan hum say yeah uljhan nahi dekhi jati

khuda k liyeah chor do ub yeah pardah
k hein aaj hum tum nahi ghair koyi

shab e wasl bhi hai hijaab is qadar kiyoon
zara rukh say aanchal utha ker to daikho

jafa'ein bohot kiii bohot zulm dha'ay
kabhi ik nigah e karam is taraf bhi

hamesha ho'ay daikh ker mujh ko barham
kisi din zara muskura ker to daikho

jo ulfat mein har ik sitam hai gawara
yeah sub kuch hai paas e wafa tum say warna

sata'tay ho din raat jiss tarah mujh ko
kisi ghair ko yoon sata ker to daikho

agar chay kisi baat per woh khafa hein
to acha yeah he hai tum apni si ker lo

woh manay na manay yeah marzi hai un ki
magar un ko purnam mana ker to daikho

Tumhein Dillagi Bhool Jani Paray gi
Mohabbat Ki Raahon Mein Aa kar To Daikho
Dieser text wurde 924 mal gelesen.