Jagjit Singh - Mujhko yaqin hai sach kahti thi Songtexte

mujhko yaqin hai sach kahti thi jo bhi ammi kahti thi -2
jab mere bachpan ke din the, chaaNd mein pariyaaN rahti thi
mujhko yaqin hai sach kahti thi jo bhi ammi kahti thi

ek ye din jab apnoN ne bhi hamse naataa toD liyaa -2
ek vo din jab peD ki shaaKhen bojh hamaaraa sahti thi
mujhko yaqin hai sach kahti thi jo bhi ammi kahti thi

ek ye din jab saari saDken rooThi rooThi lagti hain -2
ek vo din jab aao khelen saari galiyaaN kahti thi
mujhko yaqin hai sach kahti thi jo bhi ammi kahti thi

* ek ye din jab jaagi raaten deevaaroN ko takti hain -2
ek vo din jab shaamoN ki bhi palken bojhal rahti thi
mujhko yaqin hai sach kahti thi jo bhi ammi kahti thi

ek ye din jab laakhoN Gham aur kaal paDaa hai aaNsoo kaa -2
ek vo din jab ek zaraa si baat pe nadiyaaN bahti thi
mujhko yaqin hai sach kahti thi jo bhi ammi kahti thi
jab mere bachpan ke din the, chaaNd mein pariyaaN rahti thi
mujhko yaqin hai sach kahti thi jo bhi ammi kahti thi
Dieser text wurde 197 mal gelesen.