Asha Bhonsle - Inteha Ho Gayi Intezaar Ki Songtexte
Inteha ho gayi intezaar ki aayi na kuchh khabar mere yaar ki
Yeh hamein hai yakeen bewafaa woh nahin phir wajah kya hui intezaar ki
Baat jo hai uss mein baat woh yahaan kahin nahin kissi mein
Woh hai meri bas hai meri shor hai yahi gali gali mein
Saath saath hai woh mere gham mein meri har khushi mein
Zindagi mein woh nahin toh kuchh nahin hai meri zindagi mein
Bujh na jaaye yeh shama aitbaar ki
Intehaa, intezaar ki
Mere sajana lo main aa gayi
Logon ne toh diye honge bade bade nazaraane
Layi hoon main tere liye dil mera
Dil yahi maange dua hum kabhi ho na judaa
Mera hai mera hi rahe dil tera
Yeh meri zindagi hai teri
Tu mera sapana
Main tujhe paa gayi
O mere sajana lo main aa gayi
Gham ke andhere dhale bujh gaye sitaaren bhale
Dekha tujhe toh dilon mein jaan aayi
Honton pe taraane saje armaan deewane jage
Baahon mein aake tu aise sharmaayi
Chaa gayi phir wohi bekhudi
Woh ghadi kho gayi intezaar ki
Aa gayi rutt haseen hasl-e-yaar ki
Yeh nasha yeh khushi ab na kam ho kabhi