Abida Parveen - Aaqa - Coke Studio Season 9 Songtexte

Tarz-i sanaayi man nami-daanam,
ay noor-i qalbi ay noor-i rooham,
kaa'ba-i dil-ha qibla-i dil-ha,
'ishq-i haqeeqi khaaliq-i 'aalam.

maula maula maula.
jahaan bhi dekho tera nishaan hai,
mahraab-i dil men teri azaan hai,
tu hi ahad hai, tu hi hai waahid,
tu hi hai makhfi, tu hi jali hai.

yeh sab tumhara karam hai aaqa,
ke baat ab tak bani hui hai,
yeh sab tumhara karam hai aaqa,
ke baat ab tak bani hui hai.

kisi ka ahsan kyoon uthayein,
kisi ko halaat kyoon bataein,
tum hi se maangen ge tum hi do ge,
tumhare dar se hi lau lagi hai,
yeh sab tumhara karam hai aaqa.
ke baat ab tak bani hui hai,
ye sab tumhaara karam hai aaqa,
ke baat ab tak bani hui hai.

allaah hu,
allaah allaah hu,
allaah hu,
allaah allaah hu,

aye mere maalik
ay mere maalik mere khaaliq mere haajat-rawa,
jab naheen ho saath koyi
jab naheen ho saath koyi bas tera hai asra.

aye mere maalik mere khaaliq mere haajat-rawa,
jab naheen ho saath koyi bas tera hai aasara,
chhaaye kaheen jo gahra andhera,
teri 'ata se aaye sawera,
teri hi khalqat chaand tare
tu ne hi bakhshi yih raushani hai.

yeh sab tumhaara karam hai aaqa,
ke baat ab tak bani hui hai,
yeh sab tumhaara karam hai aaqa,
ke baat ab tak bani hui hai.

main faqeeri men bhi hoon kitna qalandar dekho,
dekhne waalo zara mera muqaddar dekho,
khata hui to khata ko meri chhupaaya hai tum ne,
karam apna kar diya apna banaaya tum ne,
kisi ka ahsaan kyoon uthaaen,
kisi ko haalaat kyoon bataaen,
tum hi se maangen ge tum hi do ge,
tumhare dar se hi lau lagi hai.

yeh sab tumhara karam hai aaqa,
yeh sab tumhara karam hai aaqa,
ke baat ab tak bani hui hai
yeh sab tumhara karam hai aaqa,
ke baat ab tak bani hui hai.

Tu khuda-i lam yazil,
tu hi hai rabb ul-'aalameen,
tere sajde men jhuki donon jahaanon ki jabeen
tu hi awwal tu hi aakhir,
tu ahad waahid bhi tu,
wird tere naamon ka ho raha hai ku-ba-ku,
tu hi hai rabb ul-'aalameen
tu khuda-i lam yazil (Repeat 3 Times)
maula.
Dieser text wurde 475 mal gelesen.