VERSE I
Ghar se mein nikla hua
Jana baygani zameen
Sab ko nasheetain milien
Safar yun chalta raha
Apna hai kaun Yahan
Sab ko hai apni padi
Main hi bechara raha
Koi na manzil meri
CHORUS
Hangami Haalat 3
VERSE II
Kaisa zamana hai yeh
Daulat he sab kuch bani
Jhagra Kisi Baat ka
Taaqat hai bas yeh meri
Bhoolain hain saab hashr ko
Bita di soch ki ghari
Duniya hai us ko mili
Us say nazar jis ki phiri
CHORUS
Hangami Haalat 3
BRIDGE
Kab Tak Samaitoonga
Kab talak behlaonga
Dil ki mein jyot ko
Kaise jalaoonga
Kis ka hai saath yaahan
Kaun zakhm bharay
Yeh Josh hai yun Rawan
Tum jo gar sang chale
CHORUS
Hangami Haalat 3