Pehle bhi jite the magar jabse mili hai zindagi
sidhi nahi hai dur tak ulajhi huyi hai zindagi
achchhi bhali thi dur se jab paas aai kho gayi
jismein na aaye kuch nazar wo roshani hai zindagi
har raasta anjaan sa, har phalsafa naadaan sa
sadiyon puraani hai magar har din nai hai zindagi
mitti hawa ban kar udi ghoomi phiri waapas mudi
kabaro pe qatabo ki tarah likkhi huyi hai zindagi
Bu şarkı sözü 115 kere okundu.