Nikle the kaha jane ke liye, pahunche hai kaha malum nahi
abb apne bhatkate kadmo ko, manjil kaa nisha malum nahi
hamne bhi kabhi iss gulshan me, ek khwabe bahara dekha tha
kab phul jhare kab gard udi, kab aayi khija malum nahi
dil shola e gham se khak huwa, ya aag lagi aramano me
kya chiz jali kyon sine se utha hai dhuwa malum nahi
barabad wafa kaa afasana ham kise kahe, aur kaise kahe
khamosh hain lab, aur dooniya ko ashko ki juban malum nahi
Bu şarkı sözü 132 kere okundu.